main khudi mein mubtila khud ko mitaane ke liye | मैं ख़ुदी में मुब्तिला ख़ुद को मिटाने के लिए - Agha Shayar Qazalbash

main khudi mein mubtila khud ko mitaane ke liye
tu ne to har zarre ko zau di jagmagane ke liye

ek adnaa se patinge ne bana di jaan par
sham'a ne koshish to ki thi dil jalane ke liye

barq-e-khirman sozaab rakhna zara chashm-e-karam
chaar tinke phir jade hain aashiyaane ke liye

munh nahin har ek ka jo sakhti-e-gardoon sahe
kuch kaleja chahiye vo zakham khaane ke liye

khoob bulbul ko sikhaaya naalaa-e-mastaana-waar
khoob gunche ko samajh di muskuraane ke liye

is qadar arzaan hui hai aaj kal jins-e-kamaal
jhoote sikke dhal rahe hain har khazaane ke liye

khwaab mein bhi ab nahin shaair vo garmi-e-kalaam
sham'a si ik rah gai hai jhilmilaane ke liye

मैं ख़ुदी में मुब्तिला ख़ुद को मिटाने के लिए
तू ने तो हर ज़र्रे को ज़ौ दी जगमगाने के लिए

एक अदना से पतिंगे ने बना दी जान पर
शम्अ ने कोशिश तो की थी दिल जलाने के लिए

बर्क़-ए-ख़िर्मन सोज़ाब रखना ज़रा चश्म-ए-करम
चार तिनके फिर जड़े हैं आशियाने के लिए

मुँह नहीं हर एक का जो सख़्ती-ए-गर्दूं सहे
कुछ कलेजा चाहिए वो ज़ख़्म खाने के लिए

ख़ूब बुलबुल को सिखाया नाला-ए-मस्ताना-वार
ख़ूब ग़ुंचे को समझ दी मुस्कुराने के लिए

इस क़दर अर्ज़ां हुई है आज कल जिंस-ए-कमाल
झूटे सिक्के ढल रहे हैं हर ख़ज़ाने के लिए

ख़्वाब में भी अब नहीं 'शाइर' वो गर्मी-ए-कलाम
शम्अ सी इक रह गई है झिलमिलाने के लिए

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari