uns apne mein kahi paaya na begaane mein tha | उन्स अपने में कहीं पाया न बेगाने में था - Agha Shayar Qazalbash

uns apne mein kahi paaya na begaane mein tha
kya nasha hai saara aalam ek paimaane mein tha

aah itni kaavishein ye shor-o-shar ye iztiraab
ek chutki khaak ki do par ye parwaane mein tha

aap hi us ne anal-haq kah diya ilzaam kya
hosh kis ne le liya tha hosh deewane mein tha

allah allah khaak mein milte hi ye paa-e-samar
lo khuda ki shaan fal bhi phool bhi daane mein tha

shaikh ko jo paarsa kehta hai us ko kya kahoon
main ne apni aankh se dekha vo may-khaane mein tha

shaair'-e-naazuk-tabeeat hoon mera dil kat gaya
saaqiya lena ki shaayad baal paimaane mein tha

उन्स अपने में कहीं पाया न बेगाने में था
क्या नशा है सारा आलम एक पैमाने में था

आह इतनी काविशें ये शोर-ओ-शर ये इज़्तिराब
एक चुटकी ख़ाक की दो पर ये परवाने में था

आप ही उस ने अनल-हक़ कह दिया इल्ज़ाम क्या
होश किस ने ले लिया था होश दीवाने में था

अल्लाह अल्लाह ख़ाक में मिलते ही ये पा-ए-समर
लो ख़ुदा की शान फल भी फूल भी दाने में था

शैख़ को जो पारसा कहता है उस को क्या कहूँ
मैं ने अपनी आँख से देखा वो मय-ख़ाने में था

'शाइर'-ए-नाज़ुक-तबीअत हूँ मिरा दिल कट गया
साक़िया लेना कि शायद बाल पैमाने में था

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari