bahaar aayi hai phir chaman mein naseem ithla ke chal rahi hai | बहार आई है फिर चमन में नसीम इठला के चल रही है - Agha Shayar Qazalbash

bahaar aayi hai phir chaman mein naseem ithla ke chal rahi hai
har ek guncha chatk raha hai gulon ki rangat badal rahi hai

vo aa gaye lo vo jee utha main adoo ki ummeed-e-yaas thehri
ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khadi haath mal rahi hai

batao dil doon na doon kaho to ajeeb naazuk moamala hai
idhar to dekho nazar milaao ye kis ki shokhi machal rahi hai

tadap raha hoon yahan main tanhaa wahan adoo se vo hum-baghal hain
kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai

ghatta vo chhaai vo abr utha yahi to hai waqt may-kashi ka
bulao shaair ko hai kahaan vo sharaab sheeshe se dhal rahi hai

बहार आई है फिर चमन में नसीम इठला के चल रही है
हर एक ग़ुंचा चटक रहा है गुलों की रंगत बदल रही है

वो आ गए लो वो जी उठा मैं अदू की उम्मीद-ए-यास ठहरी
अजब तमाशा है दिल-लगी है क़ज़ा खड़ी हाथ मल रही है

बताओ दिल दूँ न दूँ कहो तो अजीब नाज़ुक मोआमला है
इधर तो देखो नज़र मिलाओ ये किस की शोख़ी मचल रही है

तड़प रहा हूँ यहाँ मैं तन्हा वहाँ अदू से वो हम-बग़ल हैं
किसी के दम पर बनी हुई है किसी की हसरत निकल रही है

घटा वो छाई वो अब्र उट्ठा यही तो है वक़्त मय-कशी का
बुलाओ 'शाइर' को है कहाँ वो शराब शीशे से ढल रही है

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari