maskan wahin kahi hai wahin aashiyaan kahi | मस्कन वहीं कहीं है वहीं आशियाँ कहीं - Agha Shayar Qazalbash

maskan wahin kahi hai wahin aashiyaan kahi
do aadhe seedhe rakh liye tinke jahaan kahi

phoolon ki sej phoolon ki hain baddhiyaa kahi
kaanton pe hum tadpate hain o aasmaan kahi

jaate kidhar ho tum saf-e-mahshar mein khair hai
daaman na ho khuda ke liye dhajjiyaan kahi

pahra bitha diya hai ye qaid-e-hayaat ne
saaya bhi saath saath hai jaaun jahaan kahi

bas mujh ko daad mil gai mehnat vasool hai
sun le ghazal ye bulbul-e-hindustaan kahi

shaair vo aaj phir wahin jaate hue mile
dushman ke sar pe toot pade aasmaan kahi

मस्कन वहीं कहीं है वहीं आशियाँ कहीं
दो आड़े सीधे रख लिए तिनके जहाँ कहीं

फूलों की सेज फूलों की हैं बद्धियाँ कहीं
काँटों पे हम तड़पते हैं ओ आसमाँ कहीं

जाते किधर हो तुम सफ़-ए-महशर में ख़ैर है
दामन न हो ख़ुदा के लिए धज्जियाँ कहीं

पहरा बिठा दिया है ये क़ैद-ए-हयात ने
साया भी साथ साथ है जाऊँ जहाँ कहीं

बस मुझ को दाद मिल गई मेहनत वसूल है
सुन ले ग़ज़ल ये बुलबुल-ए-हिन्दुस्ताँ कहीं

'शाइर' वो आज फिर वहीं जाते हुए मिले
दुश्मन के सर पे टूट पड़े आसमाँ कहीं

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari