dil sard ho gaya hai tabeeyat bujhi hui | दिल सर्द हो गया है तबीअत बुझी हुई - Agha Shayar Qazalbash

dil sard ho gaya hai tabeeyat bujhi hui
ab kya hai vo utar gai naddi chadhi hui

tum jaan de ke lete ho ye bhi nayi hui
lete nahin sakhi to koi cheez di hui

is toote phoote dil ko na chhedo pare hato
kya kar rahe ho aag hai is mein dabii hui

lo hum bataayein guncha-o-gul mein hai farq kya
ik baat hai kahi hui ik be-kahee hui

khoon-rez jis qadar hain vo rahte hain sar-nigoon
khanjar hua kataar hui ya chhuri hui

shaair khuda ke vaaste tauba ka kya qusoor
hai kis ke munh se phir ye suboohi lagi hui

दिल सर्द हो गया है तबीअत बुझी हुई
अब क्या है वो उतर गई नद्दी चढ़ी हुई

तुम जान दे के लेते हो ये भी नई हुई
लेते नहीं सख़ी तो कोई चीज़ दी हुई

इस टूटे फूटे दिल को न छेड़ो परे हटो
क्या कर रहे हो आग है इस में दबी हुई

लो हम बताएँ ग़ुंचा-ओ-गुल में है फ़र्क़ क्या
इक बात है कही हुई इक बे-कही हुई

ख़ूँ-रेज़ जिस क़दर हैं वो रहते हैं सर-निगूँ
ख़ंजर हुआ कटार हुई या छुरी हुई

'शाइर' ख़ुदा के वास्ते तौबा का क्या क़ुसूर
है किस के मुँह से फिर ये सुबूही लगी हुई

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari