uryaan hi rahe laash ghareeb-ul-watani mein | उर्यां ही रहे लाश ग़रीब-उल-वतनी में - Agha Shayar Qazalbash

uryaan hi rahe laash ghareeb-ul-watani mein
dhabbe mere isyaan ke na aayein kafni mein

iqaar pe bhi meri tabeeyat nahin jamti
vo lutf mila hai tiri paimaan-shikni mein

dil toot ke judta nahin sheesha ho to jud jaaye
hai farq yahi sokhtni saakhtni mein

hasrat hai meri aap ki tasveer nahin hai
ik cheez hai rakh li hai chhupa kar kafni mein

hum bhi kabhi pariyon mein raha karte the shaair
kya dekhte ho hum ko ghareeb-ul-watani mein

उर्यां ही रहे लाश ग़रीब-उल-वतनी में
धब्बे मिरे इस्याँ के न आएँ कफ़नी में

इक़रार पे भी मेरी तबीअत नहीं जमती
वो लुत्फ़ मिला है तिरी पैमाँ-शिकनी में

दिल टूट के जुड़ता नहीं शीशा हो तो जुड़ जाए
है फ़र्क़ यही सोख़्तनी साख़्तनी में

हसरत है मिरी आप की तस्वीर नहीं है
इक चीज़ है रख ली है छुपा कर कफ़नी में

हम भी कभी परियों में रहा करते थे 'शाइर'
क्या देखते हो हम को ग़रीब-उल-वतनी में

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari