rukhsaar ke partav se bijli ki nayi dhaj hai | रुख़्सार के परतव से बिजली की नई धज है - Agha Shayar Qazalbash

rukhsaar ke partav se bijli ki nayi dhaj hai
kyun aankh jhapakti hai kya saamne suraj hai

duniya ki zameenon se ai charkh tu kya waqif
ik ik yahan pinhaan kaavus hai eeraj hai

darwaaze pe us but ke sau baar humein jaana
apna to yahi kaaba apna to yahi haj hai

ai abroo-e-jaanaan tu itna to bata hum ko
kis rukh se karein sajda qible mein zara kaj hai

insaaf karo logo insaaf karo pyaaro
shaair ki zamaane mein duniya se nayi dhaj hai

रुख़्सार के परतव से बिजली की नई धज है
क्यूँ आँख झपकती है क्या सामने सूरज है

दुनिया की ज़मीनों से ऐ चर्ख़ तू क्या वाक़िफ़
इक इक यहाँ पिन्हाँ कावुस है ईरज है

दरवाज़े पे उस बुत के सौ बार हमें जाना
अपना तो यही काबा अपना तो यही हज है

ऐ अबरू-ए-जानाँ तू इतना तो बता हम को
किस रुख़ से करें सज्दा क़िबले में ज़रा कज है

इंसाफ़ करो लोगो इंसाफ़ करो प्यारो
'शाइर' की ज़माने में दुनिया से नई धज है

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari