kya kar rahe ho zulm karo raah raah ka | क्या कर रहे हो ज़ुल्म करो राह राह का - Agha Shayar Qazalbash

kya kar rahe ho zulm karo raah raah ka
kahte hain be-jigar hai bada teer aah ka

yun rangte larzate hain poochhenge roz-e-hashr
kyun ek din bhi khauf na aaya gunaah ka

haalat pe meri un ke bhi aansu nikal pade
dekha gaya na yaas mein aalam nigaah ka

kisra ka taq kaabe ke but munh ke bal gire
shohra suna jo ashhadu-an-la-ilah ka

shaair ajeeb rang se guzri hai apni umr
duniya mein naam bhi na suna khair-khwah ka

क्या कर रहे हो ज़ुल्म करो राह राह का
कहते हैं बे-जिगर है बड़ा तीर आह का

यूँ रौंगटे लरज़ते हैं पूछेंगे रोज़-ए-हश्र
क्यूँ एक दिन भी ख़ौफ़ न आया गुनाह का

हालत पे मेरी उन के भी आँसू निकल पड़े
देखा गया न यास में आलम निगाह का

किसरा का ताक़ काबे के बुत मुँह के बल गिरे
शोहरा सुना जो अशहदो-अन-ला-इलाह का

'शाइर' अजीब रंग से गुज़री है अपनी उम्र
दुनिया में नाम भी न सुना ख़ैर-ख़्वाह का

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari