kya khabar thi raaz-e-dil apna ayaan ho jaayega | क्या ख़बर थी राज़-ए-दिल अपना अयाँ हो जाएगा - Agha Shayar Qazalbash

kya khabar thi raaz-e-dil apna ayaan ho jaayega
kya khabar thi aah ka shola zabaan ho jaayega

hashr hone de sitamgar hum dikha denge tujhe
pyaara pyaara ye garebaan ungaliyaan ho jaayega

raat bhar ki hain bahaarein sham'a kya parwaana kya
subh hote hote ruksat kaarwaan ho jaayega

hashr mein insaaf hoga bas yahi sunte raho
kuch yahan hota raha hai kuch wahan ho jaayega

is ko kahte hain jahaan mein log sacchi ulfaten
teer jab dil se khichegaa to kamaan ho jaayega

aadhi seedhi padti hain nazrein tumheen par aaj to
majmaa-e-taar-e-nazar kya baddhiyaa ho jaayega

hai yahi rang-e-sukhan to shaair sheerin-zabaan
tu bhi ik din tooti-e-hindustaan ho jaayega

क्या ख़बर थी राज़-ए-दिल अपना अयाँ हो जाएगा
क्या ख़बर थी आह का शोला ज़बाँ हो जाएगा

हश्र होने दे सितमगर हम दिखा देंगे तुझे
प्यारा प्यारा ये गरेबाँ उँगलियाँ हो जाएगा

रात भर की हैं बहारें शम्अ क्या परवाना क्या
सुब्ह होते होते रुख़्सत कारवाँ हो जाएगा

हश्र में इंसाफ़ होगा बस यही सुनते रहो
कुछ यहाँ होता रहा है कुछ वहाँ हो जाएगा

इस को कहते हैं जहाँ में लोग सच्ची उल्फ़तें
तीर जब दिल से खिचेगा तो कमाँ हो जाएगा

आड़ी सीधी पड़ती हैं नज़रें तुम्हीं पर आज तो
मजमा-ए-तार-ए-नज़र क्या बद्धियाँ हो जाएगा

है यही रंग-ए-सुख़न तो 'शाइर' शीरीं-ज़बाँ
तू भी इक दिन तूती-ए-हिन्दुस्ताँ हो जाएगा

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari