laakh laakh ehsaan jis ne dard paida kar diya | लाख लाख एहसान जिस ने दर्द पैदा कर दिया

  - Agha Shayar Qazalbash

laakh laakh ehsaan jis ne dard paida kar diya
jis ne is dil ko hatheli ka faphoolaa kar diya

dekhna maghrib ki jaanib ye shafaq ka foolna
doobte suraj ne sone mein suhaaga kar diya

zindagi aur maut mein ik umr se thi kashmakash
waqt par do hichkiyon ne paak jhagda kar diya

ik sharaara sa qareeb-e-sham'a ja kar mil gaya
aatish-e-parwaana ne shole ko doonaa kar diya

bulbul-e-tasveer hoon ab bolna hai naagawaar
teri is hangaama aaraai ne chupkaa kar diya

is ko kahte hain lagi parwaane jal bujh doob mar
rote rote sham'a ne aakhir savera kar diya

de diya aankhen lada kar is pari-paikar ne jaam
main nashe mein choor tha hi aur andha kar diya

kya giraami hastiyaan hain hazrat-e-'usmaan'-o-'shaad
shaair in dono ne duniya mein ujaala kar diya

लाख लाख एहसान जिस ने दर्द पैदा कर दिया
जिस ने इस दिल को हथेली का फफूला कर दिया

देखना मग़रिब की जानिब ये शफ़क़ का फूलना
डूबते सूरज ने सोने में सुहागा कर दिया

ज़िंदगी और मौत में इक उम्र से थी कशमकश
वक़्त पर दो हिचकियों ने पाक झगड़ा कर दिया

इक शरारा सा क़रीब-ए-शम्अ जा कर मिल गया
आतिश-ए-परवाना ने शोले को दूना कर दिया

बुलबुल-ए-तस्वीर हूँ अब बोलना है नागवार
तेरी इस हंगामा आराई ने चुपका कर दिया

इस को कहते हैं लगी परवाने जल बुझ डूब मर
रोते रोते शम्अ ने आख़िर सवेरा कर दिया

दे दिया आँखें लड़ा कर इस परी-पैकर ने जाम
मैं नशे में चूर था ही और अंधा कर दिया

क्या गिरामी हस्तियाँ हैं हज़रत-ए-'उस्मान'-ओ-'शाद'
'शाइर' इन दोनों ने दुनिया में उजाला कर दिया

  - Agha Shayar Qazalbash

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari