shaair-e-rangeen fasana ho gaya | शाइर-ए-रंगीं फ़साना हो गया - Agha Shayar Qazalbash

shaair-e-rangeen fasana ho gaya
sher bulbul ka taraana ho gaya

is qadar naqshe utaare yaar ne
ye jahaan tasveer-khaana ho gaya

vo chaman ki yaad ne muztar kya
zahar mujh ko aab-o-daana ho gaya

aankh se tapki jo aansu ki ladi
qaafila gham ka ravana ho gaya

jaan lene aaye the shaair wahi
maut ka to ik bahaana ho gaya

शाइर-ए-रंगीं फ़साना हो गया
शेर बुलबुल का तराना हो गया

इस क़दर नक़्शे उतारे यार ने
ये जहाँ तस्वीर-ख़ाना हो गया

वो चमन की याद ने मुज़्तर क्या
ज़हर मुझ को आब-ओ-दाना हो गया

आँख से टपकी जो आँसू की लड़ी
क़ाफ़िला ग़म का रवाना हो गया

जान लेने आए थे 'शाइर' वही
मौत का तो इक बहाना हो गया

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari