ham apne zakham sabhi ko dikha nahin sakte
jo shikwa tum se hai sab ko suna nahin sakte
mere khayal ki gehraai ko zara samjho
ki sirf lafz to matlab bata nahin sakte
malaal ye hai ki saaqi to ban gaye sahab
sharaab haath mein hai aur pila nahin sakte
ajab hai phool ki fitrat use masal kar tum
mehakte haathon ki khushboo chhupa nahin sakte
likha gaya jo muqaddar mein harf-e-aakhir hai
tum apni marzi se is ko mita nahin sakte
hazaaron heele bahaane taraash lo phir bhi
tum apne chehre ki khiffat chhupa nahin sakte
ab ek ham hain ki sadiyaan guzaar den aadil
aur ek vo hain ki lamha bata nahin sakte
हम अपने ज़ख़्म सभी को दिखा नहीं सकते
जो शिकवा तुम से है सब को सुना नहीं सकते
मिरे ख़याल की गहराई को ज़रा समझो
कि सिर्फ़ लफ़्ज़ तो मतलब बता नहीं सकते
मलाल ये है कि साक़ी तो बन गए साहब
शराब हाथ में है और पिला नहीं सकते
अजब है फूल की फ़ितरत उसे मसल कर तुम
महकते हाथों की ख़ुश्बू छुपा नहीं सकते
लिखा गया जो मुक़द्दर में हर्फ़-ए-आख़िर है
तुम अपनी मर्ज़ी से इस को मिटा नहीं सकते
हज़ारों हीले बहाने तराश लो फिर भी
तुम अपने चेहरे की ख़िफ़्फ़त छुपा नहीं सकते
अब एक हम हैं कि सदियाँ गुज़ार दें 'आदिल'
और एक वो हैं कि लम्हा बता नहीं सकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Adil
our suggestion based on Ahmad Adil
As you were reading Basant Shayari Shayari