may-kada sa bana diya ghar mein
aur saaqi bitha diya ghar mein
us ki zid thi ki ehtimaam karoon
main ne khud ko bichha diya ghar mein
tere pahre jagah jagah pa kar
khud ko qaaidi bana diya ghar mein
teri qurbat thi aag thi kya thi
mera sab kuchh jala diya ghar mein
dar ke apne hi saaye se main ne
har diye ko bujha diya ghar mein
khud se roo-posh hi bhala tha main
aaina kyun laga diya ghar mein
noch kar apne baal-o-par aadil
main ne pinjra bana diya ghar mein
मय-कदा सा बना दिया घर में
और साक़ी बिठा दिया घर में
उस की ज़िद थी कि एहतिमाम करूँ
मैं ने ख़ुद को बिछा दिया घर में
तेरे पहरे जगह जगह पा कर
ख़ुद को क़ैदी बना दिया घर में
तेरी क़ुर्बत थी आग थी क्या थी
मेरा सब कुछ जला दिया घर में
डर के अपने ही साए से मैं ने
हर दिए को बुझा दिया घर में
ख़ुद से रू-पोश ही भला था मैं
आइना क्यूँ लगा दिया घर में
नोच कर अपने बाल-ओ-पर 'आदिल'
मैं ने पिंजरा बना दिया घर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Adil
our suggestion based on Ahmad Adil
As you were reading Aaina Shayari Shayari