ye diya khun se jala phir bhi jala hai to sahi | ये दिया ख़ूँ से जला फिर भी जला है तो सही - Ahmad Adil

ye diya khun se jala phir bhi jala hai to sahi
laakh rasman hi mila mujh se mila hai to sahi

an-kahi baat samajh lo to badi baat hai ye
meri khaamosh nawaai mein sada hai to sahi

dagmagata mujhe dekhe to sahaara de koi
ye jo laghzish hai to laghzish ka maza hai to sahi

bheegi aankhen ye bataati hain ki sun kar mera haal
kuch na kuch tujh ko bhi ehsaas hua hai to sahi

kahein maghroor ko badmast magar sach ye hai
inkisaari mein bhi apna hi nasha hai to sahi

zindagi bhar meri hasti mein racha ho jaise
tujh ko dekha nahin mehsoos kiya hai to sahi

kaavish-e-zeest hai kya apni hi hasti ki talash
khud ko pa lena hi insaan ka sila hai to sahi

hai jo aazurdagi us ki dam-e-rukhsat aadil
tujh ko andaaza-e-tajdeed-e-wafa hai to sahi

ये दिया ख़ूँ से जला फिर भी जला है तो सही
लाख रस्मन ही मिला मुझ से मिला है तो सही

अन-कही बात समझ लो तो बड़ी बात है ये
मेरी ख़ामोश नवाई में सदा है तो सही

डगमगाता मुझे देखे तो सहारा दे कोई
ये जो लग़्ज़िश है तो लग़्ज़िश का मज़ा है तो सही

भीगी आँखें ये बताती हैं कि सुन कर मिरा हाल
कुछ न कुछ तुझ को भी एहसास हुआ है तो सही

कहें मग़रूर को बदमस्त मगर सच ये है
इंकिसारी में भी अपना ही नशा है तो सही

ज़िंदगी भर मिरी हस्ती में रचा हो जैसे
तुझ को देखा नहीं महसूस किया है तो सही

काविश-ए-ज़ीस्त है क्या अपनी ही हस्ती की तलाश
ख़ुद को पा लेना ही इंसाँ का सिला है तो सही

है जो आज़ुर्दगी उस की दम-ए-रुख़्सत 'आदिल'
तुझ को अंदाज़ा-ए-तजदीद-ए-वफ़ा है तो सही

- Ahmad Adil
0 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari