yun sukoonat ki talabgaar hui jaati hai | यूँ सुकूनत की तलबगार हुई जाती है - Ahmad Adil

yun sukoonat ki talabgaar hui jaati hai
zindagi saaya-e-deewar hui jaati hai

har mulaqaat pe kuch aur bahkati nazrein
kya tiri zaat pur-asraar hui jaati hai

subh kahti hai mere saath chalo aage badho
mat kaho zeest giran-baar hui jaati hai

yun samaai hai tiri saans meri saanson mein
har nafs garmi-e-afkaar hui jaati hai

dagmaga kar hi meri zeest sambhalti hai zara
kaun kehta hai ki be-kaar hui jaati hai

rooh to jism se rishte ko nibhaane ke liye
maut se barsar-e-paikaar hui jaati hai

justuju us ki agar koi khata hai aadil
ye khata mujh se lagaataar hui jaati hai

यूँ सुकूनत की तलबगार हुई जाती है
ज़िंदगी साया-ए-दीवार हुई जाती है

हर मुलाक़ात पे कुछ और बहकती नज़रें
क्या तिरी ज़ात पुर-असरार हुई जाती है

सुब्ह कहती है मिरे साथ चलो आगे बढ़ो
मत कहो ज़ीस्त गिराँ-बार हुई जाती है

यूँ समाई है तिरी साँस मिरी साँसों में
हर नफ़स गर्मी-ए-अफ़्कार हुई जाती है

डगमगा कर ही मिरी ज़ीस्त सँभलती है ज़रा
कौन कहता है कि बे-कार हुई जाती है

रूह तो जिस्म से रिश्ते को निभाने के लिए
मौत से बरसर-ए-पैकार हुई जाती है

जुस्तुजू उस की अगर कोई ख़ता है 'आदिल'
ये ख़ता मुझ से लगातार हुई जाती है

- Ahmad Adil
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari