masroof raahguzaar pe chala ja raha tha main
phir kyun laga ki sab se juda ja raha tha main
ta'meer-e-zaat hi mein lagi zindagi tamaam
khaaliq bana raha tha bana ja raha tha main
haasil theen jin ko raahatein vo bhi fana hue
kyun apni muflisi se dara ja raha tha main
dariya-e-zeest ki yahi manzil thi aakhiri
ik bahr-e-be-karan mein gira ja raha tha main
samjha tha aaine mein mera aks hi nahin
zaahir tha aur sab se chhupa ja raha tha main
pehle to ku-e-yaar ki phir daar ki talab
daldal mein khwahishon ki dhansa ja raha tha main
main gard-e-raah tha magar ej'aaz dekhiye
har kaarwaan ke saath uda ja raha tha main
rukne mein dar ye tha ki tawazun bigad na jaaye
aadil isee gumaan mein chala ja raha tha main
मसरूफ़ रहगुज़र पे चला जा रहा था मैं
फिर क्यूँ लगा कि सब से जुदा जा रहा था मैं
ता'मीर-ए-ज़ात ही में लगी ज़िंदगी तमाम
ख़ालिक़ बना रहा था बना जा रहा था मैं
हासिल थीं जिन को राहतें वो भी फ़ना हुए
क्यूँ अपनी मुफ़्लिसी से डरा जा रहा था मैं
दरिया-ए-ज़ीस्त की यही मंज़िल थी आख़िरी
इक बहर-ए-बे-कराँ में गिरा जा रहा था मैं
समझा था आइने में मिरा अक्स ही नहीं
ज़ाहिर था और सब से छुपा जा रहा था मैं
पहले तो कू-ए-यार की फिर दार की तलब
दलदल में ख़्वाहिशों की धँसा जा रहा था मैं
मैं गर्द-ए-राह था मगर ए'जाज़ देखिए
हर कारवाँ के साथ उड़ा जा रहा था मैं
रुकने में डर ये था कि तवाज़ुन बिगड़ न जाए
'आदिल' इसी गुमाँ में चला जा रहा था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Adil
our suggestion based on Ahmad Adil
As you were reading Tasweer Shayari Shayari