azal se be-sabaati ka gila tha | अज़ल से बे-सबाती का गिला था

  - Ahmad Adil

azal se be-sabaati ka gila tha
magar insaan khud kam-hausla tha

jise samjhe samundar ki rawaani
sabeel-e-zindagi ka bulbulaa tha

ajab si thi masafat teergi ki
chala tha gir pada tha phir chala tha

har ik lamha rifaqat ka hamaari
dhanak ke saath rangon se saja tha

tawazun tha zaroori zindagi mein
talavvun ka magar apna maza tha

khada tha main pashemaan phir wahin par
jahaan se lagzishon ka silsila tha

kabhi socha bhi aadil kyun mila sab
hua haasil wahin jo de chuka tha

अज़ल से बे-सबाती का गिला था
मगर इंसान ख़ुद कम-हौसला था

जिसे समझे समुंदर की रवानी
सबील-ए-ज़िंदगी का बुलबुला था

अजब सी थी मसाफ़त तीरगी की
चला था गिर पड़ा था फिर चला था

हर इक लम्हा रिफ़ाक़त का हमारी
धनक के सात रंगों से सजा था

तवाज़ुन था ज़रूरी ज़िंदगी में
तलव्वुन का मगर अपना मज़ा था

खड़ा था मैं पशेमाँ फिर वहीं पर
जहाँ से लग़्ज़िशों का सिलसिला था

कभी सोचा भी 'आदिल' क्यूँ मिला सब
हुआ हासिल वही जो दे चुका था

  - Ahmad Adil

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari