main bhi kya zabt aazmaata hoon | मैं भी क्या ज़ब्त आज़माता हूँ - Ahmad Adil

main bhi kya zabt aazmaata hoon
tauba karta hoon bhool jaata hoon

gham sa rehta hoon tujh se doori mein
aur qurbat mein kho sa jaata hoon

apni hasti ki azmatein akshar
inkisaari se jhuk ke paata hoon

kyun muqayyad hoon zaat mein apni
jabki duniya se dil lagata hoon

us ki zulfon ko ab ke suljhaa kar
khud ko uljha hua sa paata hoon

jaane waale ko ye nahin ma'aloom
main tasavvur mein us ko laata hoon

gham-gusaari mein dost ki aadil
ranj sahta hoon muskurata hoon

मैं भी क्या ज़ब्त आज़माता हूँ
तौबा करता हूँ भूल जाता हूँ

ग़म सा रहता हूँ तुझ से दूरी में
और क़ुर्बत में खो सा जाता हूँ

अपनी हस्ती की अज़्मतें अक्सर
इंकिसारी से झुक के पाता हूँ

क्यूँ मुक़य्यद हूँ ज़ात में अपनी
जबकि दुनिया से दिल लगाता हूँ

उस की ज़ुल्फ़ों को अब के सुलझा कर
ख़ुद को उलझा हुआ सा पाता हूँ

जाने वाले को ये नहीं मा'लूम
मैं तसव्वुर में उस को लाता हूँ

ग़म-गुसारी में दोस्त की 'आदिल'
रंज सहता हूँ मुस्कुराता हूँ

- Ahmad Adil
0 Likes

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari