hum se to raah-o-rasm hai aghyaar ki tarah | हम से तो राह-ओ-रस्म है अग़्यार की तरह - Ahmad Adil

hum se to raah-o-rasm hai aghyaar ki tarah
duniya pe mehrbaan hain gham-khwaar ki tarah

kam-maaegi na pooch meri bazm-e-ghair mein
uthati hai har nigaah khareedaar ki tarah

main taajiraan-e-ishq ke baare mein kya kahoon
in ka junoon hai garmi-e-baazaar ki tarah

khud-saakhta buton ko main ab tod-taad kar
poojoonga bas usi ko parastaar ki tarah

zauq-e-nazar ko aap samjhte hain gar gunaah
naadim khada hoon main bhi gunahgaar ki tarah

dekhi hai main ne shaakh se patton ki rukhsati
jaane na doonga ab tujhe har baar ki tarah

zaad-e-safar ki fikr na manzil ka ho khayal
raah-e-talab mein aao talabgaar ki tarah

chaaha hai tum ko yun ki tumhein bhi khabar na ho
socha hai tum ko an-kahe ashaar ki tarah

kehne ko koi band-o-silaasil nahin magar
sab hain faseel-e-jaan mein girftaar ki tarah

aadil rukh-e-nigaar nahin dil ka aaina
iqaar-e-khaas hota hai inkaar ki tarah

हम से तो राह-ओ-रस्म है अग़्यार की तरह
दुनिया पे मेहरबान हैं ग़म-ख़्वार की तरह

कम-माएगी न पूछ मिरी बज़्म-ए-ग़ैर में
उठती है हर निगाह ख़रीदार की तरह

मैं ताजिरान-ए-इश्क़ के बारे में क्या कहूँ
इन का जुनूँ है गर्मी-ए-बाज़ार की तरह

ख़ुद-साख़्ता बुतों को मैं अब तोड़-ताड़ कर
पूजूँगा बस उसी को परस्तार की तरह

ज़ौक़-ए-नज़र को आप समझते हैं गर गुनाह
नादिम खड़ा हूँ मैं भी गुनहगार की तरह

देखी है मैं ने शाख़ से पत्तों की रुख़्सती
जाने न दूँगा अब तुझे हर बार की तरह

ज़ाद-ए-सफ़र की फ़िक्र न मंज़िल का हो ख़याल
राह-ए-तलब में आओ तलबगार की तरह

चाहा है तुम को यूँ कि तुम्हें भी ख़बर न हो
सोचा है तुम को अन-कहे अशआ'र की तरह

कहने को कोई बंद-ओ-सलासिल नहीं मगर
सब हैं फ़सील-ए-जाँ में गिरफ़्तार की तरह

'आदिल' रुख़-ए-निगार नहीं दिल का आइना
इक़रार-ए-ख़ास होता है इंकार की तरह

- Ahmad Adil
0 Likes

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari