nishaan manzil ka batlaaya na mujh ko hum-safar jaana
tazbzub mein pada hai vo jise main ne khizr jaana
nazar meri baseerat ko sada mahdood rakhti hai
pas-e-manzar nahin dekha faqat peshe-e-nazar jaana
jahaan taqdeer le jaaye wahan raaste nahin jaate
kiya tha rukh idhar ka kyun likha tha jab udhar jaana
hawala zindagi ka bhi tumhaari zulf jaisa hai
bikhrna phir sanwar jaana sanwarna phir bikhar jaana
junoon ki raah ko ab tak samajh paaye nahin sahab
ki apne jism ko dhaa kar faqat jaan se guzar jaana
duboya jis ne kashti ko use hi na-khuda samjhe
diye the jis ne saare dukh usi ko chaaragar jaana
unhin tareek raahon se guzarna hai tumhein aadil
charaagh-e-jaan jala kar tum bila khauf-o-khatr jaana
निशाँ मंज़िल का बतलाया न मुझ को हम-सफ़र जाना
तज़ब्ज़ुब में पड़ा है वो जिसे मैं ने ख़िज़र जाना
नज़र मेरी बसीरत को सदा महदूद रखती है
पस-ए-मंज़र नहीं देखा फ़क़त पेश-ए-नज़र जाना
जहाँ तक़दीर ले जाए वहाँ रस्ते नहीं जाते
किया था रुख़ इधर का क्यूँ लिखा था जब उधर जाना
हवाला ज़िंदगी का भी तुम्हारी ज़ुल्फ़ जैसा है
बिखरना फिर सँवर जाना सँवरना फिर बिखर जाना
जुनूँ की राह को अब तक समझ पाए नहीं साहब
कि अपने जिस्म को ढा कर फ़क़त जाँ से गुज़र जाना
डुबोया जिस ने कश्ती को उसे ही ना-ख़ुदा समझे
दिए थे जिस ने सारे दुख उसी को चारागर जाना
उन्हीं तारीक राहों से गुज़रना है तुम्हें 'आदिल'
चराग़-ए-जाँ जला कर तुम बिला ख़ौफ़-ओ-ख़तर जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Adil
our suggestion based on Ahmad Adil
As you were reading Diwangi Shayari Shayari