ye may-kashi ka sabq hai naye nisaab ke saath | ये मय-कशी का सबक़ है नए निसाब के साथ

  - Ahmad Adil

ye may-kashi ka sabq hai naye nisaab ke saath
ki khoon-e-dil hamein peena hai ab sharaab ke saath

bas is yaqeen pe hoti hain laghzishein akshar
ki rahmaton ka bhi daata hai tu azaab ke saath

ye qurbaton ka ishaara hai ya judaai ka
jo zard phool mila hai tire jawaab ke saath

zara vo saath bhi chalte hain laut jaate hain
hijaab toot rahe hain magar hijaab ke saath

kahi hai tangi suboo ki kahi faraavani
to phir girift bhi maula usi hisaab ke saath

agar raqeeb nahin hai to kaun hai vo shakhs
dikhaai deta hai jo aaj-kal janab ke saath

khayaal-e-sood-o-ziyaan aur husool-e-manzil-e-ishq
zawaal-e-umr mein jaise koi shabaab ke saath

faqat yun shor machaane ka faaeda kya hai
saza bhi dena zaroori hai ehtisaab ke saath

hamaare ho to zara khul ke e'timaad karo
naya sawaal uthaate ho kyun jawaab ke saath

ye apne aap ko paana hai tujh ko khona kyun
tamaam umr kati hai is iztiraab ke saath

ye sab ghuroob ke aasaar hain ayaan aadil
ki saaye badhne lage dhalti aftaab ke saath

ये मय-कशी का सबक़ है नए निसाब के साथ
कि ख़ून-ए-दिल हमें पीना है अब शराब के साथ

बस इस यक़ीन पे होती हैं लग़्ज़िशें अक्सर
कि रहमतों का भी दाता है तू अज़ाब के साथ

ये क़ुर्बतों का इशारा है या जुदाई का
जो ज़र्द फूल मिला है तिरे जवाब के साथ

ज़रा वो साथ भी चलते हैं लौट जाते हैं
हिजाब टूट रहे हैं मगर हिजाब के साथ

कहीं है तंगी सुबू की कहीं फ़रावानी
तो फिर गिरफ़्त भी मौला उसी हिसाब के साथ

अगर रक़ीब नहीं है तो कौन है वो शख़्स
दिखाई देता है जो आज-कल जनाब के साथ

ख़याल-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ और हुसूल-ए-मंज़िल-ए-इश्क़
ज़वाल-ए-उम्र में जैसे कोई शबाब के साथ

फ़क़त यूँ शोर मचाने का फ़ाएदा क्या है
सज़ा भी देना ज़रूरी है एहतिसाब के साथ

हमारे हो तो ज़रा खुल के ए'तिमाद करो
नया सवाल उठाते हो क्यूँ जवाब के साथ

ये अपने आप को पाना है तुझ को खोना क्यूँ
तमाम उम्र कटी है इस इज़्तिराब के साथ

ये सब ग़ुरूब के आसार हैं अयाँ 'आदिल'
कि साए बढ़ने लगे ढलते आफ़्ताब के साथ

  - Ahmad Adil

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari