bas har ik raat yahi jurm kiya hai main ne | बस हर इक रात यही जुर्म किया है मैं ने - Ahmad Adil

bas har ik raat yahi jurm kiya hai main ne
la ke khwaabon mein tujhe dekh liya hai main ne

har baras zeest ka lamha sa laga hai lekin
baaz lamhon mein to sadiyon ko jiya hai main ne

chhoote jaate hain sabhi ahl-e-kharaabaat-e-junoon
kya ajab aql se sauda ye kiya hai main ne

saagar-e-marg ko suqraat ne pee kar ye kaha
zindagi tere liye zahar piya hai main ne

apne har khwaab ki ta'beer ko paane ke liye
ik samundar tha jise paar kiya hai main ne

tum nahin jaante maqtal se daraane waalo
jaan ka nazraana kai baar diya hai main ne

kaise mumkin hai ki main tujh se tiri baat karoon
tere kehne pe to honton ko siya hai main ne

may-kashi mein bhi kai daur guzaare aadil
kabhi chullu kabhi saaghar se piya hai main ne

बस हर इक रात यही जुर्म किया है मैं ने
ला के ख़्वाबों में तुझे देख लिया है मैं ने

हर बरस ज़ीस्त का लम्हा सा लगा है लेकिन
बाज़ लम्हों में तो सदियों को जिया है मैं ने

छूटे जाते हैं सभी अहल-ए-ख़राबात-ए-जुनूँ
क्या अजब अक़्ल से सौदा ये किया है मैं ने

साग़र-ए-मर्ग को सुक़रात ने पी कर ये कहा
ज़िंदगी तेरे लिए ज़हर पिया है मैं ने

अपने हर ख़्वाब की ता'बीर को पाने के लिए
इक समुंदर था जिसे पार किया है मैं ने

तुम नहीं जानते मक़्तल से डराने वालो
जाँ का नज़राना कई बार दिया है मैं ने

कैसे मुमकिन है कि मैं तुझ से तिरी बात करूँ
तेरे कहने पे तो होंटों को सिया है मैं ने

मय-कशी में भी कई दौर गुज़ारे 'आदिल'
कभी चुल्लू कभी साग़र से पिया है मैं ने

- Ahmad Adil
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari