saaz-e-hasti pe abhi jhoom ke ga le mujh ko | साज़-ए-हस्ती पे अभी झूम के गा ले मुझ को

  - Ahmad Adil

saaz-e-hasti pe abhi jhoom ke ga le mujh ko
zindagi se ye kaho aur na taale mujh ko

main ne to subh-e-darkhshaan ki dua maangi thi
kyun mile zard charaagon ke ujaale mujh ko

tujh ko paane ke liye umar ganwa di main ne
haq to banta hai ki tu apna bana le mujh ko

ye to saaqi ki jagah aur koi baitha hai
ye jo gin gin ke pilaata hai piyaale mujh ko

main zamaane ke jhmelon mein dhansa jaata hoon
us se kahiye ki vo daldal se nikale mujh ko

apni khaamosh tamannaa ki aziyyat se nikal
jo sunaana hai zara khul ke suna le mujh ko

naa-tawaani hi meri taab-o-tawaan hai aadil
main ne kab tujh se kaha tha ki bacha le mujh ko

साज़-ए-हस्ती पे अभी झूम के गा ले मुझ को
ज़िंदगी से ये कहो और न टाले मुझ को

मैं ने तो सुब्ह-ए-दरख़्शाँ की दुआ माँगी थी
क्यूँ मिले ज़र्द चराग़ों के उजाले मुझ को

तुझ को पाने के लिए उमर गँवा दी मैं ने
हक़ तो बनता है कि तू अपना बना ले मुझ को

ये तो साक़ी की जगह और कोई बैठा है
ये जो गिन गिन के पिलाता है पियाले मुझ को

मैं ज़माने के झमेलों में धँसा जाता हूँ
उस से कहिए कि वो दलदल से निकाले मुझ को

अपनी ख़ामोश तमन्ना की अज़िय्यत से निकल
जो सुनाना है ज़रा खुल के सुना ले मुझ को

ना-तवानी ही मिरी ताब-ओ-तवाँ है 'आदिल'
मैं ने कब तुझ से कहा था कि बचा ले मुझ को

  - Ahmad Adil

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Adil

As you were reading Shayari by Ahmad Adil

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Adil

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari