un ke qisse agar bayaan hote
raaz saare tabhi ayaan hote
tum ko aate hunar jo rehzan ke
bas tumhi meer-e-kaarwaan hote
bair ham se sahi magar socho
ham na hote to tum kahaan hote
zindagi vo jagah dikha de ab
tujh ko paate to ham jahaan hote
un ki mehfil mein dil nahin lagta
jab vo auron mein shaadmaan hote
ye mukammal agar jahaan hota
phir khalaon mein kyun jahaan hote
soch mein qurbaten agar hoti
faasle yun na darmiyaan hote
tum hi gosha-nasheen the aadil
warna charche kahaan kahaan hote
उन के क़िस्से अगर बयाँ होते
राज़ सारे तभी अयाँ होते
तुम को आते हुनर जो रहज़न के
बस तुम्ही मीर-ए-कारवाँ होते
बैर हम से सही मगर सोचो
हम न होते तो तुम कहाँ होते
ज़िंदगी वो जगह दिखा दे अब
तुझ को पाते तो हम जहाँ होते
उन की महफ़िल में दिल नहीं लगता
जब वो औरों में शादमाँ होते
ये मुकम्मल अगर जहाँ होता
फिर ख़लाओं में क्यूँ जहाँ होते
सोच में क़ुर्बतें अगर होतीं
फ़ासले यूँ न दरमियाँ होते
तुम ही गोशा-नशीन थे 'आदिल'
वर्ना चर्चे कहाँ कहाँ होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Adil
our suggestion based on Ahmad Adil
As you were reading Education Shayari Shayari