husn-pari ho saath aur be-mausam ki baarish ho jaaye | हुस्न-परी हो साथ और बे-मौसम की बारिश हो जाए

  - Ahmad Azeem

husn-pari ho saath aur be-mausam ki baarish ho jaaye
chhatri kaun khareedega phir jitni baarish ho jaaye

aisi pyaas ki shiddat hai ki main ye duaaein karta hoon
jitne samundar hain duniya mein sab ki baarish ho jaaye

meri ghazlein us ke saath bitaaye waqt ka haasil hain
waisi faslen ug aati hain jaisi baarish ho jaaye

chhote chhote taalaabon se paani chheena jaata hai
tum to bas ye kah dete ho thodi baarish ho jaaye

aandhi aaye bijli karkke kaali ghataaein chhaane lagen
majbooran vo ruke mere ghar itni baarish ho jaaye

tang aaya hoon main is hijr-o-wasl ki boonda-baandi se
ya to sookha pad jaaye ya dhang ki baarish ho jaaye

हुस्न-परी हो साथ और बे-मौसम की बारिश हो जाए
छतरी कौन ख़रीदेगा फिर जितनी बारिश हो जाए

ऐसी प्यास की शिद्दत है कि मैं ये दुआएँ करता हूँ
जितने समुंदर हैं दुनिया में सब की बारिश हो जाए

मेरी ग़ज़लें उस के साथ बिताए वक़्त का हासिल हैं
वैसी फ़स्लें उग आती हैं जैसी बारिश हो जाए

छोटे छोटे तालाबों से पानी छीना जाता है
तुम तो बस ये कह देते हो थोड़ी बारिश हो जाए

आँधी आए बिजली कड़के काली घटाएँ छाने लगें
मजबूरन वो रुके मिरे घर इतनी बारिश हो जाए

तंग आया हूँ मैं इस हिज्र-ओ-वस्ल की बूँदा-बाँदी से
या तो सूखा पड़ जाए या ढंग की बारिश हो जाए

  - Ahmad Azeem

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azeem

As you were reading Shayari by Ahmad Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azeem

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari