bichhad ke dono ke zehnon pe bojh padta hai
rahein jo saath to aankhon pe bojh padta hai
falon ke hone se shaakhen faqat lachakti hain
falon ke girne se shaakhon pe bojh padta hai
tumhaare zikr ki aadat hui hai aisi inhen
kuchh aur bolein to honton pe bojh padta hai
bas ek chehre ko sapne mein dekhne ke liye
tamaam umr ki neendon pe bojh padta hai
azeem door ke rishton ko door rakha kar
vagarna paas ke rishton pe bojh padta hai
बिछड़ के दोनों के ज़ेहनों पे बोझ पड़ता है
रहें जो साथ तो आँखों पे बोझ पड़ता है
फलों के होने से शाख़ें फ़क़त लचकती हैं
फलों के गिरने से शाख़ों पे बोझ पड़ता है
तुम्हारे ज़िक्र की आदत हुई है ऐसी इन्हें
कुछ और बोलें तो होंटों पे बोझ पड़ता है
बस एक चेहरे को सपने में देखने के लिए
तमाम उम्र की नींदों पे बोझ पड़ता है
'अज़ीम' दूर के रिश्तों को दूर रक्खा कर
वगर्ना पास के रिश्तों पे बोझ पड़ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Rahbar Shayari Shayari