mohabbaton ko kahi aur paal kar dekho
mataa-e-jaan ko badan se nikaal kar dekho
badal ke dekho kabhi nisbato'n ki duniya ko
badan ko rooh ke khaane mein daal kar dekho
suno use to samaat se maavra ho kar
jo dekhna ho to aankhen nikaal kar dekho
yaqeen dasht se footega aab-e-joo ki tarah
ki harf-e-''la ki gawaahi bahaal kar dekho
nafs nafs hai yahan maqbara aqeedat ka
ye maqbaro'n ka jahaan paayemaal kar dekho
isee hawa mein mohabbat ka deep jalta hai
isee jahaan ko jahaan-e-visaal kar dekho
vo sang de to hararat nichod lo apni
jo phool de to nigaah-e-kamaal kar dekho
phir us ke b'ad koi dar nahin talaatum ka
us ek boond ke gham ko vishaal kar dekho
badan ki pyaas bhi ik maavra kahaani hai
har ek boond ko dariya khayal kar dekho
palat ke aayenge saawan ke rang aankhon mein
tum apne-aap se rishta bahaal kar dekho
vo bolta hai pahaadon ki ot se akshar
kisi pahaad se us ka sawaal kar dekho
ye raaz aur kahaan tak hamein nibhaana hai
kabhi to raat mein suraj nikaal kar dekho
tum apne gauhar-e-yakta ko is tarah dhoondo
ki khud ko be-sar-o-samaan khayal kar dekho
jo dekhna ho kabhi doston ka dil ahmad
khare usool ka patta uchaal kar dekho
मोहब्बतों को कहीं और पाल कर देखो
मता-ए-जाँ को बदन से निकाल कर देखो
बदल के देखो कभी निस्बतों की दुनिया को
बदन को रूह के ख़ाने में डाल कर देखो
सुनो उसे तो समाअत से मावरा हो कर
जो देखना हो तो आँखें निकाल कर देखो
यक़ीन दश्त से फूटेगा आब-ए-जू की तरह
कि हर्फ़-ए-''ला'' की गवाही बहाल कर देखो
नफ़स नफ़स है यहाँ मक़बरा अक़ीदत का
ये मक़बरों का जहाँ पाएमाल कर देखो
इसी हवा में मोहब्बत का दीप जलता है
इसी जहाँ को जहान-ए-विसाल कर देखो
वो संग दे तो हरारत निचोड़ लो अपनी
जो फूल दे तो निगाह-ए-कमाल कर देखो
फिर उस के ब'अद कोई डर नहीं तलातुम का
उस एक बूँद के ग़म को विशाल कर देखो
बदन की प्यास भी इक मावरा कहानी है
हर एक बूँद को दरिया ख़याल कर देखो
पलट के आएँगे सावन के रंग आँखों में
तुम अपने-आप से रिश्ता बहाल कर देखो
वो बोलता है पहाड़ों की ओट से अक्सर
किसी पहाड़ से उस का सवाल कर देखो
ये राज़ और कहाँ तक हमें निभाना है
कभी तो रात में सूरज निकाल कर देखो
तुम अपने गौहर-ए-यकता को इस तरह ढूँडो
कि ख़ुद को बे-सर-ओ-सामाँ ख़याल कर देखो
जो देखना हो कभी दोस्तों का दिल 'अहमद'
खरे उसूल का पत्ता उछाल कर देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shanas
our suggestion based on Ahmad Shanas
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari