imroz ki kashti ko dubone ke liye hoon
kal aur kisi rang mein hone ke liye hoon
tu bhi hai faqat apni shahaadat ka talabgaar
main bhi to isee dard mein rone ke liye hoon
jeene ka taqaza mujhe marne nahin deta
mar kar bhi samajhta hoon ki hone ke liye hoon
haathon mein mere chaand bhi lagta hai khilauna
khwaabon mein falak rang samone ke liye hoon
har baar ye sheeshe ka badan toot gaya hai
har baar naye ek khilone ke liye hoon
pardes ki raaton mein bahut jaag chuka main
ab ghar ka sukoon odh ke sone ke liye hoon
seene mein koi zakham ki khulne ke liye hai
aankhon mein koi ashk ki rone ke liye hoon
saada si koi baat nahin bhook shikam ki
eimaan bhi roti mein samone ke liye hoon
vo dasht-o-bayaabaan mein izhaar ka khwaahan
main apne chaman-zaar mein rone ke liye hoon
ghaaron ka safar hai ki mukammal nahin hota
main apni khabar aap hi dhone ke liye hoon
suraj ko nikalne mein zara der hai ahmad
phir zaat ka har rang main khone ke liye hoon
इमरोज़ की कश्ती को डुबोने के लिए हूँ
कल और किसी रंग में होने के लिए हूँ
तू भी है फ़क़त अपनी शहादत का तलबगार
मैं भी तो इसी दर्द में रोने के लिए हूँ
जीने का तक़ाज़ा मुझे मरने नहीं देता
मर कर भी समझता हूँ कि होने के लिए हूँ
हाथों में मिरे चाँद भी लगता है खिलौना
ख़्वाबों में फ़लक रंग समोने के लिए हूँ
हर बार ये शीशे का बदन टूट गया है
हर बार नए एक खिलौने के लिए हूँ
परदेस की रातों में बहुत जाग चुका मैं
अब घर का सुकूँ ओढ़ के सोने के लिए हूँ
सीने में कोई ज़ख़्म कि खुलने के लिए है
आँखों में कोई अश्क कि रोने के लिए हूँ
सादा सी कोई बात नहीं भूक शिकम की
ईमान भी रोटी में समोने के लिए हूँ
वो दश्त-ओ-बयाबान में इज़हार का ख़्वाहाँ
मैं अपने चमन-ज़ार में रोने के लिए हूँ
ग़ारों का सफ़र है कि मुकम्मल नहीं होता
मैं अपनी ख़बर आप ही ढोने के लिए हूँ
सूरज को निकलने में ज़रा देर है 'अहमद'
फिर ज़ात का हर रंग मैं खोने के लिए हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shanas
our suggestion based on Ahmad Shanas
As you were reading Anjam Shayari Shayari