phoolon mein ek rang hai aankhon ke neer ka | फूलों में एक रंग है आँखों के नीर का

  - Ahmad Shanas

phoolon mein ek rang hai aankhon ke neer ka
manzar tamaam-tar hai ye fasl-e-zameer ka

rishta vo kya hua meri aankhon se neer ka
muddat hui hai haadsa dekhe zameer ka

paani utar gaya to zameen sanglaakh thi
teekhaa sa har sawaal tha raanjhe se heer ka

teri azaan ke saath main uthata hoon pau fate
sar mein liye hue koi sajda aseer ka

dekha na doston ne imarat ke us taraf
poocha kabhi na haal kisi ne faqeer ka

aaina gir pada tha mere haath se kabhi
phir yaad haadsa nahin koi zameer ka

sahra-e-jism rooh ke andar utar gaya
ab kya dikhaaye mojza insaan zameer ka

aansu ki ek boond ko aankhen taras gaeein
is dhoop mein jhuls gaya doha kabeer ka

aadha falak ke paas tha aadha zameen par
main na-tamaam khwaab tha badr-e-muneer ka

pakke huroof gard ki soorat bikhar gaye
seene mein ghaav rah gaya kacchi lakeer ka

hoti raheingi baarishen ahmad visaal ki
khaali rahega jaam hamesha faqeer ka

फूलों में एक रंग है आँखों के नीर का
मंज़र तमाम-तर है ये फ़स्ल-ए-ज़मीर का

रिश्ता वो क्या हुआ मिरी आँखों से नीर का
मुद्दत हुई है हादसा देखे ज़मीर का

पानी उतर गया तो ज़मीं संगलाख़ थी
तीखा सा हर सवाल था राँझे से हीर का

तेरी अज़ाँ के साथ मैं उठता हूँ पौ फटे
सर में लिए हुए कोई सज्दा असीर का

देखा न दोस्तों ने इमारत के उस तरफ़
पूछा कभी न हाल किसी ने फ़क़ीर का

आईना गिर पड़ा था मिरे हाथ से कभी
फिर याद हादसा नहीं कोई ज़मीर का

सहरा-ए-जिस्म रूह के अंदर उतर गया
अब क्या दिखाए मोजज़ा इंसाँ ज़मीर का

आँसू की एक बूँद को आँखें तरस गईं
इस धूप में झुलस गया दोहा कबीर का

आधा फ़लक के पास था आधा ज़मीन पर
मैं ना-तमाम ख़्वाब था बदर-ए-मुनीर का

पक्के हुरूफ़ गर्द की सूरत बिखर गए
सीने में घाव रह गया कच्ची लकीर का

होती रहेंगी बारिशें 'अहमद' विसाल की
ख़ाली रहेगा जाम हमेशा फ़क़ीर का

  - Ahmad Shanas

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shanas

As you were reading Shayari by Ahmad Shanas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shanas

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari