hai vaaheemon ka tamasha yahan wahan dekho | है वाहिमों का तमाशा यहाँ वहाँ देखो

  - Ahmad Shanas

hai vaaheemon ka tamasha yahan wahan dekho
hamaare paas mukammal khuda kahaan dekho

dil-o-dimaagh ke andar ana ki goonj suno
bala si koi lahu mein ravaan-davaan dekho

nafs ka saanp kahaan zer hone waala hai
phir is ke b'ad koi aur imtihaan dekho

ab apne ghar ke liye ik nayi zameen socho
zameen ke sar pe koi taaza aasmaan dekho

is ik sawaal ke kitne azaab jhel chuka
kuchh aur dard banoo aur imtihaan dekho

guzar ke jaana hai vehshat ke ek dariya se
yaqeen na ho to yahan raasta kahaan dekho

kahaan se aayegi ab raushni mohabbat ki
bahut dhuaan hai makaanon ke darmiyaan dekho

main be-yaqeen hoon aisa ki mere haathon mein
tamaam aayatein suraj ki raayegaan dekho

fata hua kisi uryaan sawaal jaisa hai
hamaare sar pe ye rahmat ka saaebaan dekho

nishaan ret ke aaye hain mere hisse mein
nikal gaya hai bahut door kaarwaan dekho

maseeh maut ka paighaam le ke aaya hai
ab aur kaun bachaayega meri jaan dekho

mere huroof adhuri udaan jaise hain
mera shooor maani ka aasmaan dekho

vo ek lamha hayaat-aashnaa likho ahmad
vagarna saari kahaani hi raayegaan dekho

है वाहिमों का तमाशा यहाँ वहाँ देखो
हमारे पास मुकम्मल ख़ुदा कहाँ देखो

दिल-ओ-दिमाग़ के अंदर अना की गूँज सुनो
बला सी कोई लहू में रवाँ-दवाँ देखो

नफ़स का साँप कहाँ ज़ेर होने वाला है
फिर इस के ब'अद कोई और इम्तिहाँ देखो

अब अपने घर के लिए इक नई ज़मीं सोचो
ज़मीं के सर पे कोई ताज़ा आसमाँ देखो

इस इक सवाल के कितने अज़ाब झेल चुका
कुछ और दर्द बनू और इम्तिहाँ देखो

गुज़र के जाना है वहशत के एक दरिया से
यक़ीं न हो तो यहाँ रास्ता कहाँ देखो

कहाँ से आएगी अब रौशनी मोहब्बत की
बहुत धुआँ है मकानों के दरमियाँ देखो

मैं बे-यक़ीन हूँ ऐसा कि मेरे हाथों में
तमाम आयतें सूरज की राएगाँ देखो

फटा हुआ किसी उर्यां सवाल जैसा है
हमारे सर पे ये रहमत का साएबाँ देखो

निशान रेत के आए हैं मेरे हिस्से में
निकल गया है बहुत दूर कारवाँ देखो

मसीह मौत का पैग़ाम ले के आया है
अब और कौन बचाएगा मेरी जाँ देखो

मिरे हुरूफ़ अधूरी उड़ान जैसे हैं
मिरा शुऊर मआनी का आसमाँ देखो

वो एक लम्हा हयात-आश्ना लिखो 'अहमद'
वगर्ना सारी कहानी ही राएगाँ देखो

  - Ahmad Shanas

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shanas

As you were reading Shayari by Ahmad Shanas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shanas

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari