subh-e-wujood hoon ki shab-e-intizaar hoon | सुब्ह-ए-वजूद हूँ कि शब-ए-इंतिज़ार हूँ - Ahmad Shanas

subh-e-wujood hoon ki shab-e-intizaar hoon
main aashkaar hoon ki pas-e-aashkaar hoon

har rang-e-be-qaraar hoon har naqsh-e-na-tamaam
mitti ka dard hoon ki sitaaron ka pyaar hoon

kuch to mere vujood ka hissa hai tere paas
warna main apne aap mein kyun intizaar hoon

ik aur aasmaan chamakta hai khwaab mein
ik aur kaayenaat ka aaina-daar hoon

tu ne mujhe khayal kiya tha isee tarah
gard-o-ghubaar mein bhi sitaara-shiaar hoon

jaari ho be-mahaar taalluq ki salsabeel
ik aisi barshgaal ka ummeed-waar hoon

kaise khada hoon kis ke sahaare khada hoon main
apna yaqeen hoon ki tira e'tibaar hoon

ik baar apne ghar se nikala gaya tha main
phir is ke b'ad gardish-e-lail-o-nahaar hoon

bas kuch dinon ki aur saubat hai dhoop ki
sahra-e-jism paar koi barg-zaar hoon

tere jamaal se meri aankhon mein noor hai
tera khayal hai to main baag-o-bahaar hoon

saanson ke darmiyaan sulagte hain baal-o-par
phir bhi kisi udaan ka ummeed-waar hoon

ahmad kisi zamaan-o-makaan ka nahin hoon main
lamhon ki der hai jo sar-e-aabshaar hoon

सुब्ह-ए-वजूद हूँ कि शब-ए-इंतिज़ार हूँ
मैं आश्कार हूँ कि पस-ए-आश्कार हूँ

हर रंग-ए-बे-क़रार हूँ हर नक़्श-ए-ना-तमाम
मिट्टी का दर्द हूँ कि सितारों का प्यार हूँ

कुछ तो मिरे वजूद का हिस्सा है तेरे पास
वर्ना मैं अपने आप में क्यूँ इंतिज़ार हूँ

इक और आसमान चमकता है ख़्वाब में
इक और काएनात का आईना-दार हूँ

तू ने मुझे ख़याल किया था इसी तरह
गर्द-ओ-ग़ुबार में भी सितारा-शिआर हूँ

जारी हो बे-महार तअल्लुक़ की सलसबील
इक ऐसी बर्शगाल का उम्मीद-वार हूँ

कैसे खड़ा हूँ किस के सहारे खड़ा हूँ मैं
अपना यक़ीन हूँ कि तिरा ए'तिबार हूँ

इक बार अपने घर से निकाला गया था मैं
फिर इस के ब'अद गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार हूँ

बस कुछ दिनों की और सऊबत है धूप की
सहरा-ए-जिस्म पार कोई बर्ग-ज़ार हूँ

तेरे जमाल से मिरी आँखों में नूर है
तेरा ख़याल है तो मैं बाग़-ओ-बहार हूँ

साँसों के दरमियान सुलगते हैं बाल-ओ-पर
फिर भी किसी उड़ान का उम्मीद-वार हूँ

'अहमद' किसी ज़मान-ओ-मकाँ का नहीं हूँ मैं
लम्हों की देर है जो सर-ए-आबशार हूँ

- Ahmad Shanas
0 Likes

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shanas

As you were reading Shayari by Ahmad Shanas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shanas

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari