ye waqt raushni ka mukhtasar hai | ये वक़्त रौशनी का मुख़्तसर है

  - Ahmad Shanas

ye waqt raushni ka mukhtasar hai
abhi suraj tuloo-e-muntazar hai

shahaadat lafz ki dushwaar-tar hai
kitaabon mein bahut zer-o-zabar hai

abhi khulne ko hai dar aasmaan ka
abhi izhaar ka pyaasa bashar hai

ye duniya ek lamhe ka tamasha
na jaane doosra lamha kidhar hai

jo dekha hai vo sab kuchh hai hamaara
jo an-dekha hai vo ummeed bhar hai

main khud khaashaak-e-girveedaa hoon warna
mere haathon mein tinka shah par hai

phir is ke b'ad bas hairaaniyaan hain
khabar waala bhi khaasa be-khabar hai

mera naara hai jungle aag jaisa
mera kalmaa shikasta baal-o-par hai

zabaan meri siyaasat chaatati hai
ki is ka zaa'ika sheer-o-shakar hai

ye andhi pyaas ka mausam hai ahmad
samundar raushni ka be-asar hai

ये वक़्त रौशनी का मुख़्तसर है
अभी सूरज तुलू-ए-मुंतज़र है

शहादत लफ़्ज़ की दुश्वार-तर है
किताबों में बहुत ज़ेर-ओ-ज़बर है

अभी खुलने को है दर आसमाँ का
अभी इज़हार का प्यासा बशर है

ये दुनिया एक लम्हे का तमाशा
न जाने दूसरा लम्हा किधर है

जो देखा है वो सब कुछ है हमारा
जो अन-देखा है वो उम्मीद भर है

मैं ख़ुद ख़ाशाक-ए-गिरवीदा हूँ वर्ना
मिरे हाथों में तिनका शाह पर है

फिर इस के ब'अद बस हैरानियाँ हैं
ख़बर वाला भी ख़ासा बे-ख़बर है

मिरा नारा है जंगल आग जैसा
मिरा कलमा शिकस्ता बाल-ओ-पर है

ज़बाँ मेरी सियासत चाटती है
कि इस का ज़ाइक़ा शीर-ओ-शकर है

ये अंधी प्यास का मौसम है 'अहमद'
समुंदर रौशनी का बे-असर है

  - Ahmad Shanas

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shanas

As you were reading Shayari by Ahmad Shanas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shanas

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari