jism ke biyaabaan mein dard ki dua maange
phir kisi musaafir se raushni zara maange
kho gaye kitaabon mein titliyon ke baal-o-par
soch mein hain ab bacche kya chhupaayein kya maange
za'faaraani kheton mein ab makaan ugte hain
kis tarah zameenon se dil ka raabta maange
ham bhi ho gaye shaamil masnooi tijaarat mein
ham ki chehra-samaan the ab ke aaina maange
warna ilm naamon ka uth na jaaye dharti se
aadmi fale-foole aao ye dua maange
is se peshtar ki ye raat moond le aankhen
nanhe-munne jugnoo se raushni zara maange
vo sadaaein deta hai aakhiri jazeera se
aur ham nigaahon ka husn-e-ibtida maange
kis ke saamne rakhiye khol kar raza apni
aur kis se jaadu ka bolta diya maange
जिस्म के बयाबाँ में दर्द की दुआ माँगें
फिर किसी मुसाफ़िर से रौशनी ज़रा माँगें
खो गए किताबों में तितलियों के बाल-ओ-पर
सोच में हैं अब बच्चे क्या छुपाएँ क्या माँगें
ज़ा'फ़रानी खेतों में अब मकान उगते हैं
किस तरह ज़मीनों से दिल का राब्ता माँगें
हम भी हो गए शामिल मसनूई तिजारत में
हम कि चेहरा-सामाँ थे अब के आइना माँगें
वर्ना इल्म नामों का उठ न जाए धरती से
आदमी फले-फूले आओ ये दुआ माँगें
इस से पेशतर कि ये रात मूँद ले आँखें
नन्हे-मुन्ने जुगनू से रौशनी ज़रा माँगें
वो सदाएँ देता है आख़िरी जज़ीरे से
और हम निगाहों का हुस्न-ए-इब्तिदा माँगें
किस के सामने रखिए खोल कर रज़ा अपनी
और किस से जादू का बोलता दिया माँगें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shanas
our suggestion based on Ahmad Shanas
As you were reading Education Shayari Shayari