meri raaton ka safar toor nahin ho saka
tu na chahe to bayaan noor nahin ho saka
main ne hijrat ke kai daur karde dekhe hain
main kitaabon se kabhi door nahin ho saka
meri fitrat ki main khil jaata hoon be-mausam bhi
meri aadat ki main majboor nahin ho saka
tu ne kis shauq se likkha hai ta'aruf mera
main kisi lafz mein mahsoor nahin ho saka
mere andar bhi tire naam ki chingaari hai
tu mere vaaste kyun toor nahin ho saka
jo yahan lafz ki sarhad ke udhar rehta hai
bastiyon mein kabhi mashhoor nahin ho saka
zinda insaan use aabaad kiya karte hain
ghar kisi khwaab se maamoor nahin ho saka
ghar ke baahar sabhi lafzon ke tamaashaai hain
ghar ke andar koi masroor nahin ho saka
jism ke saare taqaze hain adhoore ahmad
ye tasavvur kabhi bharpoor nahin ho saka
मेरी रातों का सफ़र तूर नहीं हो सकता
तू न चाहे तो बयाँ नूर नहीं हो सकता
मैं ने हिजरत के कई दौर कड़े देखे हैं
मैं किताबों से कभी दूर नहीं हो सकता
मेरी फ़ितरत कि मैं खिल जाता हूँ बे-मौसम भी
मेरी आदत कि मैं मजबूर नहीं हो सकता
तू ने किस शौक़ से लिक्खा है तआरुफ़ मेरा
मैं किसी लफ़्ज़ में महसूर नहीं हो सकता
मेरे अंदर भी तिरे नाम की चिंगारी है
तू मिरे वास्ते क्यूँ तूर नहीं हो सकता
जो यहाँ लफ़्ज़ की सरहद के उधर रहता है
बस्तियों में कभी मशहूर नहीं हो सकता
ज़िंदा इंसाँ उसे आबाद किया करते हैं
घर किसी ख़्वाब से मामूर नहीं हो सकता
घर के बाहर सभी लफ़्ज़ों के तमाशाई हैं
घर के अंदर कोई मसरूर नहीं हो सकता
जिस्म के सारे तक़ाज़े हैं अधूरे 'अहमद'
ये तसव्वुर कभी भरपूर नहीं हो सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shanas
our suggestion based on Ahmad Shanas
As you were reading Musafir Shayari Shayari