main fath-e-zaat manzar tak na pahuncha | मैं फ़तह-ए-ज़ात मंज़र तक न पहुँचा - Ahmad Shanas

main fath-e-zaat manzar tak na pahuncha
mera tesha mere sar tak na pahuncha

use memaar likkha bastiyon ne
ki jo pehle hi patthar tak na pahuncha

tijaarat dil ki dhadkan gin rahi hai
taalluq lutf-e-manzar tak na pahuncha

shagufta gaal teekhe khat ka mausam
dobara nakhl-e-paikar tak na pahuncha

bahut chhota safar tha zindagi ka
main apne ghar ke andar tak na pahuncha

ye kaisa pyaas ka mausam hai ahmad
samundar deeda-e-tar tak na pahuncha

मैं फ़तह-ए-ज़ात मंज़र तक न पहुँचा
मिरा तेशा मिरे सर तक न पहुँचा

उसे मेमार लिक्खा बस्तियों ने
कि जो पहले ही पत्थर तक न पहुँचा

तिजारत दिल की धड़कन गिन रही है
तअल्लुक़ लुत्फ़-ए-मंज़र तक न पहुँचा

शगुफ़्ता गाल तीखे ख़त का मौसम
दोबारा नख़्ल-ए-पैकर तक न पहुँचा

बहुत छोटा सफ़र था ज़िंदगी का
मैं अपने घर के अंदर तक न पहुँचा

ये कैसा प्यास का मौसम है 'अहमद'
समुंदर दीदा-ए-तर तक न पहुँचा

- Ahmad Shanas
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Shanas

As you were reading Shayari by Ahmad Shanas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Shanas

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari