kahaan kahaan na gai mehrbaan ki khushboo | कहाँ कहाँ न गई मेहरबान की ख़ुशबू

  - Ahmed Nisar

kahaan kahaan na gai mehrbaan ki khushboo
zamaane bhar mein hai urdu zabaan ki khushboo

badan se jis ghadi niklegi jaan ki khushboo
milegi khaak mein tab aan-baan ki khushboo

qadam bahakte hain jazbaat ke andheron mein
to kheench laati hai mujh ko makaan ki khushboo

jo haq ke vaaste dena pade zamaane mein
ajeeb hoti hai is imtihaan ki khushboo

yahan pe pyaar hai yak-jehati bhaai-chaara hai
badi hi khoob hai hindostaan ki khushboo

jawaan honge jo saazish ki god mein fitne
kahaan se aayegi amn-o-amaan ki khushboo

wafa khuloos diyaanat haya sadaqat pyaar
nisaar ham bhi lutate hain shaan ki khushboo

कहाँ कहाँ न गई मेहरबान की ख़ुशबू
ज़माने भर में है उर्दू ज़बान की ख़ुशबू

बदन से जिस घड़ी निकलेगी जान की ख़ुशबू
मिलेगी ख़ाक में तब आन-बान की ख़ुशबू

क़दम बहकते हैं जज़्बात के अँधेरों में
तो खींच लाती है मुझ को मकान की ख़ुशबू

जो हक़ के वास्ते देना पड़े ज़माने में
अजीब होती है इस इम्तिहान की ख़ुशबू

यहाँ पे प्यार है यक-जेहती भाई-चारा है
बड़ी ही ख़ूब है हिन्दोस्तान की ख़ुशबू

जवान होंगे जो साज़िश की गोद में फ़ित्ने
कहाँ से आएगी अम्न-ओ-अमान की ख़ुशबू

वफ़ा ख़ुलूस दियानत हया सदाक़त प्यार
'निसार' हम भी लुटाते हैं शान की ख़ुशबू

  - Ahmed Nisar

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmed Nisar

As you were reading Shayari by Ahmed Nisar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmed Nisar

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari