vo to mujh mein hi nihaan tha mujhe maaloom na tha | वो तो मुझ में ही निहाँ था मुझे मालूम न था

  - Ahmed Nisar

vo to mujh mein hi nihaan tha mujhe maaloom na tha
khoon ban kar vo ravaan tha mujhe maaloom na tha

itne majrooh the jazbaat hamaare jis par
charkh bhi mahv-e-fighaan tha mujhe maaloom na tha

pyaas shiddat ki thi sehra bhi tadap jaata tha
imtihaan sar pe jawaan tha mujhe maaloom na tha

pair to pair yahan rooh ke chaale nikle
door itna bhi makaan tha mujhe maaloom na tha

dil bhi hota hai suna karte the har seene mein
dard bhi us mein nihaan tha mujhe maaloom na tha

ishq ke bahar mein ghota to lagaaya lekin
ba'd mein us ke kahaan tha mujhe maaloom na tha

fitna-gar lootne waala sar-e-bazaar yahan
itna sheereen-zabaan tha mujhe maaloom na tha

husn-e-ulfat ko samaaye hue seene mein nisaar
dil mein ik dard jawaan tha mujhe maaloom na tha

वो तो मुझ में ही निहाँ था मुझे मालूम न था
ख़ून बन कर वो रवाँ था मुझे मालूम न था

इतने मजरूह थे जज़्बात हमारे जिस पर
चर्ख़ भी महव-ए-फ़ुग़ाँ था मुझे मालूम न था

प्यास शिद्दत की थी सहरा भी तड़प जाता था
इम्तिहाँ सर पे जवाँ था मुझे मालूम न था

पैर तो पैर यहाँ रूह के छाले निकले
दूर इतना भी मकाँ था मुझे मालूम न था

दिल भी होता है सुना करते थे हर सीने में
दर्द भी उस में निहाँ था मुझे मालूम न था

इश्क़ के बहर में ग़ोता तो लगाया लेकिन
बअ'द में उस के कहाँ था मुझे मालूम न था

फ़ित्ना-गर लूटने वाला सर-ए-बाज़ार यहाँ
इतना शीरीन-ज़बाँ था मुझे मालूम न था

हुस्न-ए-उल्फ़त को समाए हुए सीने में 'निसार'
दिल में इक दर्द जवाँ था मुझे मालूम न था

  - Ahmed Nisar

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmed Nisar

As you were reading Shayari by Ahmed Nisar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmed Nisar

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari