fikr ke sholoon mein chalti zindagi
tab nikhrati hai hamaari zindagi
ham ne dekha haadson ki bheed mein
maut ke munh se nikalti zindagi
jab ye karti hai tumhaara intizaar
tab nahin kaate se kattee zindagi
god se hai gor tak bechainiyaan
almeya hai betiyon ki zindagi
seencha jaaye gar mashqat se use
phool ki soorat mehkati zindagi
phool patthar aag aur shabnam nisaar
roop hai kitne badalti zindagi
फ़िक्र के शो'लों में चलती ज़िंदगी
तब निखरती है हमारी ज़िंदगी
हम ने देखा हादसों की भीड़ में
मौत के मुँह से निकलती ज़िंदगी
जब ये करती है तुम्हारा इंतिज़ार
तब नहीं काटे से कटती ज़िंदगी
गोद से है गोर तक बेचैनियाँ
अलमिया है बेटियों की ज़िंदगी
सींचा जाए गर मशक़्क़त से उसे
फूल की सूरत महकती ज़िंदगी
फूल पत्थर आग और शबनम 'निसार'
रूप है कितने बदलती ज़िंदगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmed Nisar
our suggestion based on Ahmed Nisar
As you were reading Life Shayari Shayari