ishq mein barbaad hone ke siva rakha na tha
gham ko sahne ke alaava koi bhi chaara na tha
yaad rah rah kar kisi ki hai sataati raat bhar
subh hote bhool jaana ye tujhe sheva na tha
ye tiri ulfat mujhe rakhti hai betaabi mein gum
ye sabhi ko thi khabar lekin koi charcha na tha
aaina dekhoon to kyun tu hi nazar aaye mujhe
bolta hai kya tira chehra mere jaisa na tha
din guzar jaata hai duniya ki masafat mein magar
raat hi ik imtihaan hai jis ka andaaza na tha
raat ki tanhaaiyaan aaghosh mein le kar mujhe
poochhti hain kya kabhi tanhaaiyaan dekha na tha
kya mohabbat vo nasha hai main zara jaanoon nisaar
zindagi mein is tarah pehle kabhi behka na tha
इश्क़ में बर्बाद होने के सिवा रक्खा न था
ग़म को सहने के अलावा कोई भी चारा न था
याद रह रह कर किसी की है सताती रात भर
सुब्ह होते भूल जाना ये तुझे शेवा न था
ये तिरी उल्फ़त मुझे रखती है बेताबी में गुम
ये सभी को थी ख़बर लेकिन कोई चर्चा न था
आईना देखूँ तो क्यूँ तू ही नज़र आए मुझे
बोलता है क्या तिरा चेहरा मेरे जैसा न था
दिन गुज़र जाता है दुनिया की मसाफ़त में मगर
रात ही इक इम्तिहाँ है जिस का अंदाज़ा न था
रात की तन्हाइयाँ आग़ोश में ले कर मुझे
पूछती हैं क्या कभी तन्हाइयाँ देखा न था
क्या मोहब्बत वो नशा है मैं ज़रा जानूँ 'निसार'
ज़िंदगी में इस तरह पहले कभी बहका न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmed Nisar
our suggestion based on Ahmed Nisar
As you were reading Ulfat Shayari Shayari