tire paas rah kar sanwar jaaunga main
juda ho ke tujh se bikhar jaaunga main
zara sochne de main uthne se pehle
tire dar se uth kar kidhar jaaunga main
tire saath jeene ki ummeed lekin
tira saath na ho to mar jaaunga main
tire pyaar ke saaye mein chand lamhe
zara jee to luun phir guzar jaaunga main
simat kar hi rahne de aanchal se tere
tu jhutlaaye to chashm-e-tar jaaunga main
na hargiz chalunga kisi raahguzaar se
tu roke agar to thehar jaaunga main
tire pyaar mein zakham kha kha ke ik din
ki aaghosh-e-gham mein utar jaaunga main
nisaar ishq ki aag mein jal raha hoon
pata hai ki ik din nikhar jaaunga main
तिरे पास रह कर सँवर जाऊँगा मैं
जुदा हो के तुझ से बिखर जाऊँगा मैं
ज़रा सोचने दे मैं उठने से पहले
तिरे दर से उठ कर किधर जाऊँगा मैं
तिरे साथ जीने की उम्मीद लेकिन
तिरा साथ न हो तो मर जाऊँगा मैं
तिरे प्यार के साए में चंद लम्हे
ज़रा जी तो लूँ फिर गुज़र जाऊँगा मैं
सिमट कर ही रहने दे आँचल से तेरे
तू झुटलाए तो चश्म-ए-तर जाऊँगा मैं
न हरगिज़ चलूँगा किसी रहगुज़र से
तू रोके अगर तो ठहर जाऊँगा मैं
तिरे प्यार में ज़ख़्म खा खा के इक दिन
कि आग़ोश-ए-ग़म में उतर जाऊँगा मैं
'निसार' इश्क़ की आग में जल रहा हूँ
पता है कि इक दिन निखर जाऊँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmed Nisar
our suggestion based on Ahmed Nisar
As you were reading Ulfat Shayari Shayari