din mein charaagh-e-shaam jalaya tha un dinon
ik shakhs mere shehar mein aaya tha un dinon
mera bhi haal un dinon kuchh tha ajeeb sa
us ka bhi dil kisi ne dukhaaya tha un dinon
sikke kisi ki yaad ke aanchal mein bhar liye
chhan-chhan unhen bhi khoob hilaaya tha un dinon
kab tak rahegi bebaasi arbaab-e-ikhtiyaar
ham ne bhi ye sawaal uthaya tha un dinon
aasaan nahin ye raaste dushwaar hain bahut
ai ishq tujh ko ham ne bataaya tha un dinon
apni ghazal se ik taraf chup-chaap rakh liya
vo she'r bas use hi sunaaya tha un dinon
kuchh log poochte rahe ye chup si kyun lagi
mujh par tumhaari yaad ka saaya tha un dinon
दिन में चराग़-ए-शाम जलाया था उन दिनों
इक शख़्स मेरे शहर में आया था उन दिनों
मेरा भी हाल उन दिनों कुछ था अजीब सा
उस का भी दिल किसी ने दुखाया था उन दिनों
सिक्के किसी की याद के आँचल में भर लिए
छन-छन उन्हें भी ख़ूब हिलाया था उन दिनों
कब तक रहेगी बेबसी अर्बाब-ए-इख़्तियार
हम ने भी ये सवाल उठाया था उन दिनों
आसाँ नहीं ये रास्ते दुश्वार हैं बहुत
ऐ इश्क़ तुझ को हम ने बताया था उन दिनों
अपनी ग़ज़ल से इक तरफ़ चुप-चाप रख लिया
वो शे'र बस उसे ही सुनाया था उन दिनों
कुछ लोग पूछते रहे ये चुप सी क्यूँ लगी
मुझ पर तुम्हारी याद का साया था उन दिनों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aireen Farhat
our suggestion based on Aireen Farhat
As you were reading Shehar Shayari Shayari