sochna shart hai tadbeer badal jaayegi | सोचना शर्त है तदबीर बदल जाएगी - Aireen Farhat

sochna shart hai tadbeer badal jaayegi
kuch amal hoga to taqdeer badal jaayegi

aaj jo dekha suna aaj hi likhna hoga
warna kal tak to ye tahreer badal jaayegi

saath dekha hai tujhe haath mein dale hue haath
kya mere khwaab ki ta'beer badal jaayegi

waqt ko rokna mumkin hi nahin hai mere dost
kal yahi paanv ki zanjeer badal jaayegi

kabhi baarish to kabhi dhoop ki shiddat sah kar
chand din mein meri tasveer badal jaayegi

in jadi-bootiyon mein dekh samaawaat ke rang
ghol paani mein ki taaseer badal jaayegi

सोचना शर्त है तदबीर बदल जाएगी
कुछ अमल होगा तो तक़दीर बदल जाएगी

आज जो देखा सुना आज ही लिखना होगा
वर्ना कल तक तो ये तहरीर बदल जाएगी

साथ देखा है तुझे हाथ में डाले हुए हाथ
क्या मेरे ख़्वाब की ता'बीर बदल जाएगी

वक़्त को रोकना मुमकिन ही नहीं है मेरे दोस्त
कल यही पाँव की ज़ंजीर बदल जाएगी

कभी बारिश तो कभी धूप की शिद्दत सह कर
चंद दिन में मेरी तस्वीर बदल जाएगी

इन जड़ी-बूटियों में देख समावात के रंग
घोल पानी में कि तासीर बदल जाएगी

- Aireen Farhat
0 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aireen Farhat

As you were reading Shayari by Aireen Farhat

Similar Writers

our suggestion based on Aireen Farhat

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari