bahut se zakham jin ko mustaqil mehmaan rakha hai
badan ki qaid mein kuchh dard ka samaan rakha hai
kabhi lagta hai ki main aasmaan ko choo ke aayi hoon
kabhi lagta hai raaste mein koi toofaan rakha hai
har ik lamha gumaan ki dastaras mein kya bataayein ham
kahaan ummeed rakhi hai kahaan eimaan rakha hai
tumhaari aankh mein thehra hua paani bataata hai
mohabbat ki thi tum ne aur us ka maan rakha hai
mere aabaa ke ghar ko bech kar mujh se vo kehta hai
wahin kamra pada hai aur wahin daalaan rakha hai
hamaari himmaton ki daad de kar laut jaayega
hamaare saamne jis gham ne seena taan rakha hai
बहुत से ज़ख़्म जिन को मुस्तक़िल मेहमान रक्खा है
बदन की क़ैद में कुछ दर्द का सामान रक्खा है
कभी लगता है कि मैं आसमाँ को छू के आई हूँ
कभी लगता है रस्ते में कोई तूफ़ान रखा है
हर इक लम्हा गुमाँ की दस्तरस में क्या बताएँ हम
कहाँ उम्मीद रक्खी है कहाँ ईमान रक्खा है
तुम्हारी आँख में ठहरा हुआ पानी बताता है
मोहब्बत की थी तुम ने और उस का मान रक्खा है
मिरे आबा के घर को बेच कर मुझ से वो कहता है
वहीं कमरा पड़ा है और वहीं दालान रक्खा है
हमारी हिम्मतों की दाद दे कर लौट जाएगा
हमारे सामने जिस ग़म ने सीना तान रक्खा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aireen Farhat
our suggestion based on Aireen Farhat
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari