juda hote nahin aise bhi kuch aazaar hote hain | जुदा होते नहीं ऐसे भी कुछ आज़ार होते हैं - Aireen Farhat

juda hote nahin aise bhi kuch aazaar hote hain
safar ke aakhiri raaste bade dushwaar hote hain

jo chehre par likhi tahreer padh lete hain pal bhar mein
kuch aise log hain misl-e-sitaara-baar hote hain

yahan jo bhi hai sab baatil nazar ka ek dhoka hai
to phir kis baat par hum yoonhi da'wedaar hote hain

chattaanon par hare patte kahi naghma-saraa patthar
naved-e-zindagi ke ye hi to aasaar hote hain

hamaari bheegti aankhen tumhaare muskuraate lab
mohabbat ke yahi lamhe bade sarshaar hote hain

hamaari muskuraahat to hamaare gham chhupaati hai
hamaare raaz-daan ghar ke dar-o-deewar hote hain

safar jitna bhi tay paaya ye saara khel lagta hai
yun lagta hai sabhi kaar-e-hunar be-kaar hote hain

jo tum ne kar diya so kar diya dariya mein jaane do
phir is ke ba'ad to shikwe gile be-kaar hote hain

जुदा होते नहीं ऐसे भी कुछ आज़ार होते हैं
सफ़र के आख़िरी रस्ते बड़े दुश्वार होते हैं

जो चेहरे पर लिखी तहरीर पढ़ लेते हैं पल भर में
कुछ ऐसे लोग हैं मिस्ल-ए-सितारा-बार होते हैं

यहाँ जो भी है सब बातिल नज़र का एक धोका है
तो फिर किस बात पर हम यूँही दा'वेदार होते हैं

चट्टानों पर हरे पत्ते कहीं नग़्मा-सरा पत्थर
नवेद-ए-ज़िंदगी के ये ही तो आसार होते हैं

हमारी भीगती आँखें तुम्हारे मुस्कुराते लब
मोहब्बत के यही लम्हे बड़े सरशार होते हैं

हमारी मुस्कुराहट तो हमारे ग़म छुपाती है
हमारे राज़-दाँ घर के दर-ओ-दीवार होते हैं

सफ़र जितना भी तय पाया ये सारा खेल लगता है
यूँ लगता है सभी कार-ए-हुनर बे-कार होते हैं

जो तुम ने कर दिया सो कर दिया दरिया में जाने दो
फिर इस के बा'द तो शिकवे गिले बे-कार होते हैं

- Aireen Farhat
0 Likes

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aireen Farhat

As you were reading Shayari by Aireen Farhat

Similar Writers

our suggestion based on Aireen Farhat

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari