har nafs aaina mauj-e-fana hota hai | हर नफ़स आईना मौज-ए-फ़ना होता है - Aish Meeruthi

har nafs aaina mauj-e-fana hota hai
aah karta hoon to dard aur siva hota hai

khinchti jaati hai usi samt jabeen-e-sajda
jis taraf aap ka naqsh-e-kaf-e-paa hota hai

phoot ja aabla-e-paa ki badhe tera vaqaar
khaar-e-sehra tujhe angusht-numa hota hai

junbishein hone lagin parda-e-zangaari mein
naala-e-aashiq-e-dil-geer bala hota hai

vo na aayenge unhen zid hai tamannaa se meri
main kahoon laakh to kya mera kaha hota hai

hai jabeen khaak pe aur arsh-e-mu'alla pe dimaagh
naqsha aankhon mein tire dar ka khincha hota hai

sail aaya hai tire dar pe khudi ko kho kar
dekhna hai mujhe kya aaj ata hota hai

har ravish un ki qayamat hai qayamat ai aish
jis taraf jaate hain ik hashr bapaa hota hai

हर नफ़स आईना मौज-ए-फ़ना होता है
आह करता हूँ तो दर्द और सिवा होता है

खिंचती जाती है उसी सम्त जबीन-ए-सज्दा
जिस तरफ़ आप का नक़्श-ए-कफ़-ए-पा होता है

फूट जा आबला-ए-पा कि बढ़े तेरा वक़ार
ख़ार-ए-सहरा तुझे अंगुश्त-नुमा होता है

जुन्बिशें होने लगीं पर्दा-ए-ज़ंगारी में
नाला-ए-आशिक़-ए-दिल-गीर बला होता है

वो न आएँगे उन्हें ज़िद है तमन्ना से मिरी
मैं कहूँ लाख तो क्या मेरा कहा होता है

है जबीं ख़ाक पे और अर्श-ए-मुअ'ल्ला पे दिमाग़
नक़्शा आँखों में तिरे दर का खिंचा होता है

साइल आया है तिरे दर पे ख़ुदी को खो कर
देखना है मुझे क्या आज अता होता है

हर रविश उन की क़यामत है क़यामत ऐ 'ऐश'
जिस तरफ़ जाते हैं इक हश्र बपा होता है

- Aish Meeruthi
0 Likes

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Meeruthi

As you were reading Shayari by Aish Meeruthi

Similar Writers

our suggestion based on Aish Meeruthi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari