jis dil mein nihaan un ki tasveer nahin hoti
us dil ki haqeeqat mein tauqeer nahin hoti
aankhon ko tamannaa hai khaak-e-dar-e-jaanaan ki
khaak-e-dar-e-har-koocha ikseer nahin hoti
rona to hai bas us ki mehroomi-e-qismat ka
ye daulat-e-gham jis ki taqdeer nahin hoti
kyun jam'a karoon tinke hai barq-zada gulshan
sholoon mein nasheeman ki ta'aamir nahin hoti
ai aish hai farsooda ab qais ka afsaana
ulfat to kisi ki bhi jaageer nahin hoti
जिस दिल में निहाँ उन की तस्वीर नहीं होती
उस दिल की हक़ीक़त में तौक़ीर नहीं होती
आँखों को तमन्ना है ख़ाक-ए-दर-ए-जानाँ की
ख़ाक-ए-दर-ए-हर-कूचा इक्सीर नहीं होती
रोना तो है बस उस की महरूमी-ए-क़िस्मत का
ये दौलत-ए-ग़म जिस की तक़दीर नहीं होती
क्यों जम्अ करूँ तिनके है बर्क़-ज़दा गुलशन
शो'लों में नशेमन की ता'मीर नहीं होती
ऐ 'ऐश' है फ़र्सूदा अब क़ैस का अफ़्साना
उल्फ़त तो किसी की भी जागीर नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aish Meeruthi
our suggestion based on Aish Meeruthi
As you were reading Valentine Shayari Shayari