door door manzil ka kuchh pata nahin milta
raat ke musaafir ko raasta nahin milta
vo tira sitam jis par dil ko pyaar aata hai
ye meri wafa jis ka kuchh sila nahin milta
dard ke samundar mein dil ki naav doobi thi
tum kahaan the aise mein kuchh pata nahin milta
sab gham-e-mohabbat ka jabr sah nahin sakte
sab ko zahar peene ka hausla nahin milta
haaye us sitamgar ko us gile ka shikwa hai
dil ke saare qisse mein jo gila nahin milta
dil ki rahguzaron ko jaane kya hua masroor
ab koi bahaaron ka qaafila nahin milta
दूर दूर मंज़िल का कुछ पता नहीं मिलता
रात के मुसाफ़िर को रास्ता नहीं मिलता
वो तिरा सितम जिस पर दिल को प्यार आता है
ये मिरी वफ़ा जिस का कुछ सिला नहीं मिलता
दर्द के समुंदर में दिल की नाव डूबी थी
तुम कहाँ थे ऐसे में कुछ पता नहीं मिलता
सब ग़म-ए-मोहब्बत का जब्र सह नहीं सकते
सब को ज़हर पीने का हौसला नहीं मिलता
हाए उस सितमगर को उस गिले का शिकवा है
दिल के सारे क़िस्से में जो गिला नहीं मिलता
दिल की रहगुज़ारों को जाने क्या हुआ 'मसरूर'
अब कोई बहारों का क़ाफ़िला नहीं मिलता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aisha Masroor
our suggestion based on Aisha Masroor
As you were reading Raat Shayari Shayari