na dil ki bebaasi dekhi na aankhon ki zabaan samjhe
mere shikwe ko tum bhi sirf andaaz-e-bayaan samjhe
mohabbat aur koi baat sunne hi nahin deti
kisi ki guftugoo nikli ham un ki dastaan samjhe
hamaare dil se uthata hai dhuaan bijli kahi toote
chaman ke goshe goshe ko ham apna aashiyaan samjhe
mohabbat mein na daaman ka bharosa hai na ashkon ka
usi ne raaz-e-dil khola jise ham raaz-daan samjhe
unhen barson mein jab dekha to rona aa gaya dil ko
bahut chaaha ki tham jaayen magar aansu kahaan samjhe
ghazal kehne mein ai masroor raatein beet jaati hain
samjhti hai jo duniya shaayri ko raayegaan samjhe
न दिल की बेबसी देखी न आँखों की ज़बाँ समझे
मिरे शिकवे को तुम भी सिर्फ़ अंदाज़-ए-बयाँ समझे
मोहब्बत और कोई बात सुनने ही नहीं देती
किसी की गुफ़्तुगू निकली हम उन की दास्ताँ समझे
हमारे दिल से उठता है धुआँ बिजली कहीं टूटे
चमन के गोशे गोशे को हम अपना आशियाँ समझे
मोहब्बत में न दामन का भरोसा है न अश्कों का
उसी ने राज़-ए-दिल खोला जिसे हम राज़-दाँ समझे
उन्हें बरसों में जब देखा तो रोना आ गया दिल को
बहुत चाहा कि थम जाएँ मगर आँसू कहाँ समझे
ग़ज़ल कहने में ऐ 'मसरूर' रातें बीत जाती हैं
समझती है जो दुनिया शाइरी को राएगाँ समझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aisha Masroor
our suggestion based on Aisha Masroor
As you were reading Urdu Shayari Shayari