ban mein rain basera hota | बन में रैन बसेरा होता - Ajit Singh Badal

ban mein rain basera hota
main jaaga tu soya hota

mera haath aur us ka daaman
kaash kisi din aisa hota

tu gadde ki raani banti
main bhangde ka raja hota

tere chehre ke darpan mein
aks meri chaahat ka hota

sakht saza dene se pehle
sach kya hai samjhaaya hota

ghar mein tu daftar ki uljhan
saath na apne laaya hota

un ke saath kabhi to baadal
ik thaali mein khaaya hota

बन में रैन बसेरा होता
मैं जागा तू सोया होता

मेरा हात और उस का दामन
काश किसी दिन ऐसा होता

तू गद्दे की रानी बनती
मैं भंगड़े का राजा होता

तेरे चेहरे के दर्पन में
अक्स मिरी चाहत का होता

सख़्त सज़ा देने से पहले
सच क्या है समझाया होता

घर में तू दफ़्तर की उलझन
साथ न अपने लाया होता

उन के सात कभी तो 'बादल'
इक थाली में खाया होता

- Ajit Singh Badal
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajit Singh Badal

As you were reading Shayari by Ajit Singh Badal

Similar Writers

our suggestion based on Ajit Singh Badal

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari