un ke adnaa ghulaam ho kar bhi | उन के अदना ग़ुलाम हो कर भी - Ajit Singh Badal

un ke adnaa ghulaam ho kar bhi
hum rahe khaas aam ho kar bhi

bewafaai na ki samundar se
mauj ne be-lagaam ho kar bhi

dil ki duniya na kar sake raushan
aap maah-e-tamaam ho kar bhi

kaise raavan ka kaam kar baithe
naam ke aap raam ho kar bhi

hum nahin tere pyaar ke laayeq
qaabil-e-ehtiraam ho kar bhi

pyaar karne ki bhool kar baitha
shakhs vo nek naam ho kar bhi

pyaasi pyaasi hi rah gai baadal
zindagi nazr-e-jaam ho kar bhi

उन के अदना ग़ुलाम हो कर भी
हम रहे ख़ास आम हो कर भी

बेवफ़ाई न की समुंदर से
मौज ने बे-लगाम हो कर भी

दिल की दुनिया न कर सके रौशन
आप माह-ए-तमाम हो कर भी

कैसे रावन का काम कर बैठे
नाम के आप राम हो कर भी

हम नहीं तेरे प्यार के लाएक़
क़ाबिल-ए-एहतिराम हो कर भी

प्यार करने की भूल कर बैठा
शख़्स वो नेक नाम हो कर भी

प्यासी प्यासी ही रह गई 'बादल'
ज़िंदगी नज़्र-ए-जाम हो कर भी

- Ajit Singh Badal
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajit Singh Badal

As you were reading Shayari by Ajit Singh Badal

Similar Writers

our suggestion based on Ajit Singh Badal

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari